Showing posts with label Hazrat Khwaja Mir 'Dard'. Show all posts
Showing posts with label Hazrat Khwaja Mir 'Dard'. Show all posts

Tuesday, 1 November 2016

Monday, 22 October 2012

jab aankh khuli to kuch na dekha hum ne - Khwaja 'Mir' Dard



Beenai na thi to dekhte the sab kuch
jab aankh khuli to kuch na dekha hum ne

~ Hazrat Khwaja 'Mir' Dard

English Translation:

Without true vision we thought everything is real
After enlightenment we found the world is illusionary 

Thursday, 18 October 2012

Hijaab-e-rukh-e-yaar the aap hi hum - Hazrat Khwaja 'Mir' Dard



Hijaab-e-rukh-e-yaar the aap hi hum
Khuli aankh jab koi parda na dekha

~Hazrat Khwaja 'Mir' Dard


English Translation:

Only we were the veil of the face of the beloved
When the eyes opened we didn't find any veil

Saturday, 14 April 2012

Apna to nahin yaar main kuchh, yaar hoon tera - Khwaja Mir 'Dard'


Apna to nahin yaar main kuchh, yaar hoon tera

Tu jis ki taraf howey, tarafdaar hoon tera



Kurhne pe mere jee na kurha, teri balaa se

Apna to nahin gham mujhe, ghamkhwaar hoon tera



Tu chaahe na chaahe mujhe kuchh kaam nahin hai

Azaad hoon is se bhi, giraftaar hoon tera



Tu howey jahaan, mujh ko bhi hona waheen laazim

Tu gul hai meri jaan to, main khaar hoon tera



Hai ishq se mere hi tere husn ka shahra

Main kuchh nahin par, garmi-e-bazaar hoon tera



Meri bhi taraf tu kabhi aa jaa mere Yusuf

Burhiya ki tarah main bhi khareedar hoon tera



Aye ‘Dard’ mujhe kuchh naheen ab aur to azaar

Us chasm se kah dena ki bimaar hoon tera



~ Hazrat Khwaja Mir ‘Dard’

happy diwali friends -top & best wishes in hindi aur urdu shayari

hi ??????? , meri shayari hindi shayari ka kahzana ?? ??? ?? ?? ?? ?? ??????? ?? ??????? ??? ???????? ?????? ???? ?? ?? ?????? ?? ?? ?? ????...