Showing posts with label hindi. Show all posts
Showing posts with label hindi. Show all posts

Friday, 12 October 2012

Guru darshan Bhagwaan ka darshan !!!!



Guru darshan Bhagwaan ka darshan, Sift mein zaat samaai re
Guru bin gyaan naheen bhai saadho, Guru ne baat bataai re



Guru-Ishwar mein farq na jaano, Guru Ishwar ka ayen pahchaano
Guru soorat Bhagwaan ki soorat, Guru ne jaan karaai re


Har dam dhyaan guru mein rakhna, Sar ko rakhna charnon mein

Guru kirpa ka pee kar amrit, qalb ki hogi safaai re 


Guru ka jaap jape ja hardam, Raam jape phir jaap tera
Karta ja Guru ki sewa, Pooje tohe Khudaai re



Friday, 6 April 2012

Main khud ko dhoondhta hoon - Hazrat Syed Ghaosi Shah R.A.

Main khud ko dhoondhta hoon, Wo haath aa rahe hain

Ab meri shaql se wo, jalwe dikha rahe hain



Main wo nahin hoon hargiz, wo main nahin hain lekin

Wo mujh ko munh kar ke, khud ko bataa rahey hain



Main unka aaina hoon, wo mera aaina hain

Main unhein dikhaa rahaa hoon, wo mujhe dikhaa rahey hain



Main, main nahin rahaa ab, ab wo hi main baney hain

Har aan ab wo mujh mein, main ban ke aa rahey hain



Aye waa-e-Hazrat-e-ishq achchhe hain ye karishmein

Arey jitna mujhe bigaada, utna banaa rahey hain



Mai mein kahaan thi masti, itni ke mujh ko khoti

In aakhon ke main sadqe, bekhud banaa rahey hain



Taalib se lan-taraani aakhir chali na unki

Kah kar wal-aakhir-unzur parde utha rahey hain



Main kya bataaun ‘Ghausi’ main kaisa mit gayaa hoon

Khud ko tatolta hoon, wo haath aa rahey hain



~ Az Hazrat Syed Ghousi Shah R.A.,Hyderabad

Saturday, 24 March 2012

Muhabbat mein shab-e-tareek-e-hijraan kaun dekhega - Makhmoor Dehalvi


Muhabbat mein shab-e-tareek-e-hijraan kaun dekhega ????
Humeen dekheinge, yah khwab-e-parishaan kaun dekhega ????


In aankhon se tajalli ko darakhshaan kaun dekhega ????
Utha bhi do naqaab-e-ru-e-tabaan kaun dekhega ????


Yahi ik raat hai bas kaaynaat-e-zindagi apni
Sahar hoti hui  aye shaam-e-hijraan kaun dekhega ????


Basaana hi badega ik na ik din khana-e-dil ko
Bane firte ho Yusuf, sham-e-zindaan kaun dekhega ????


Haqeeqat ka takaaza bhi yahi hai pardadaari ka
raho tum aankh mein ke pardon mein pinhaan, kaun dekhega ????


Kuchh aisa ho dam-e-aakhir na aaein ayaadat ko
Unhein apne kiye par yun pashemaan kaun dekhega ????


Mujh par aayega ilzaam meri paaymaali ka
Teri raftaar ko aye fitna samaan kaun dekhega ????


Yahi ab bhi sadaaein aati hain waadi-e-aiman se
Kahaan hain taalib-e-deedar-e-janaan, kaun dekhega ????


Azaab-e-hashr se tu kyun daraata hai mujhe waaiz
Tujhe maloom bhi hai, fard-e-isiyaan kaun dekhega ????


Chalo ‘makhmoor’ tanhaai mein shagl-e-maikashi hoga
Chhupa kar le chalo peene ka saaman kaun dekhega ????


~ Makhmoor Dehalvi





Sunday, 5 July 2009

Khwaaja Muinuddin ke ghar - Basant by Hazrat Shah Niaz R.A.


ख्वाजा मोईनुद्दीन के घर आज आती है बसंत
क्या बन बना और सज सजा मुजरे को आती है बसंत

फूलों के गजरे हाथ ले गाना बजाना साथ ले
जीवन की मद'हा में मस्त हो राग गाती है बसंत

छातियाँ उमंग से भर रहीं,नैना से नैना लड़ रहीं
किस तर्ज़े माशूकाना से जलवा दिखाती है बसंत

ले संग सखियाँ गुलबदन रंगे बसंती का वरण
क्या ही खुशी और ऐश का समान लाती है बसंत

नाजों अदा से झूमना, ख्वाजा की चौकट चूमना
देखो 'नियाज़' इस रंग में कैसे सुहाती है बसंत

Khwaaja Muinuddin ke ghar aaj aati hai basant
Kya ban banaa ke saj sajaa mujre ko aati hai basant

Fulon ke gajre haath le,gaana bajaana saath le
Jeewan ki mad'ha me mast ho raag gaati hai basant

Chhatiyan umang se bhar rahin,naina se naina lad rahin
Kis tarz-e-maashooqana se jalwa dikhaati hai basant

Le sang sakhiyaan gulbadan,rang-e-basanti ka varan
Kya hi khushi aur aish ka saamaan laati hai basant

Naazon ada se jhoomna,Khwaaja ki chaukath choomna
Dekho 'Niyaz' is rang maen kaisi suhaati hai basant

happy diwali friends -top & best wishes in hindi aur urdu shayari

hi ??????? , meri shayari hindi shayari ka kahzana ?? ??? ?? ?? ?? ?? ??????? ?? ??????? ??? ???????? ?????? ???? ?? ?? ?????? ?? ?? ?? ????...