Thursday, 18 October 2012

Kafir-e-ishq hoon main banda-e-islam nahin - Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz R.A.





Kafir-e-ishq hoon main banda-e-islam nahin
But parasti ke siwa aur mujhe kaam nahin

Ishq mein poojta hoon qibla-o- kaaba apna
Ek pal dil ko mere uske bin aaraam nahin

Bulhawas paanw na rakhiyo kabhi is raah ke beech
Koocha-e-ishq hai ye raguzar-e-aam nahin

Haye re haye chali jaati hai yun fasl-e-bahaar
Kya karoon bas nahin apna wo sanam ram nahin

Aar kya hai tujhe duniya ki malaamat se ‘Niyaz’
Aashiqon mein tuu akelaa hi to badnaam nahin 

~ Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz R.A.

Ek pal mein ek sadi ka mazaa hum se poochhiye ~ Janaab "Khumaar" Barabanki Sahab !!!!!



Ek pal mein ek sadi ka mazaa hum se poochhiye
Do din ki zindagi ka mazaa hum se poochhiye

Bhooley hain raftaa-raftaa unhein muddatton mein hum
Qishton mein Khud-kushi ka mazaa hum se poochhiye

Aghaaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye
Anjaam-e-aashiqi ka mazaa hum se poochhiye

Jalte diyon mein jalte gharon jaise zau kahaan
Sarkaar raushni ka mazaa hum se poochhiye

Wo jaan hi gaye ki humein un se pyaar hai
Aankhon ki mukhbari ka mazaa hum se poochhiye

Hasne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah
Hansiye magar hansi ka mazaa hum se poochhiye

Hum tauba kar ke mar gaye qabl-e-azal "Khumaar"
Tauheen-e-maikashi ka mazaa hum se poochhiye !!!

~ Janaab "Khumaar" Barabanki Sahab !!!!!

Tuesday, 16 October 2012

Nau-bahaar ast-o-gul-o-mausam-e-eid aye saqi - Hazrat Amir Khusro




Nau-bahaar ast-o-gul-o-mausam-e-eid aye saqi
Baada-nosh-o-guzaar az waada-o-wa-eid aye saqi

(Eid hai, mausam-e-gul ki faza hai aye saqi
Chord ye waade, utha jaam, pilaa aye saqi)



Hasil az umr nadaarad bajuz az hasrat-e-dard
Har ke eid ast ze maikhaana baeed aye saqi

(Terey maikhane se kya us ko milaa aye saqi
Eid ke roz bhi jo pee na saka aye saqi)

Gasht paimaana choon tasbeeh rawaan dar kaf-e-shaikh
Ta ze laa’la to yak jurr’aa chasheed aye saqi

(Shaikh ke haath mein hai soorat-e-tasbeeh rawaan
Terey lab ne usey kya jaam diya hai saaqi)

Roz-e-mahshar nabood haich hisaabash bayqeen
Hark e dar koi mughaan ghasht shaheed aye saqi

(Kya ajaab aur sawaab us ke liye roz-e-hisaab
Wo jo maikhaaney mein jaan de ke utha aye saqi)

Baaraha karda ba-dam tauba zamee baaz maraa
Chashm-e-mast to maikhana kaseed aye saqi

(Kar ke tauba main chala aaya tha maikhane mein
Terey mast aankhon ne phir kheench liya aye saqi)


~  ‘Tooti-e-Hind’ Hazrat Amir Khusro Dehalvi Chishti Nizami R.A.

Sunday, 14 October 2012

Ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhaan hai - Asghar Gondvi

~Ye ishq ne dekha hai, ye aql se pinhaan hai~


Ye ishq ne dekha hai, ye aql se pinhaan hai
Qatre mein samandar hai, zar’re mein bayaabaan hai

Hai ishq, ki mahshar mein yun mast-o-khiramaan hai
Dozakh baghareebaan hai, firdaus badaamaan hai

Hai ishq, ki shorish se ra’naai-o-zebaai
Jo khoon uchhalta hai wo rang-e-ghulistaan hai

Phir garm nawaazish hai zu-mehr darakhshaan ki
Phir qatra-e-shabanam mein hangaama-e-toofaan hai

Aye paikar-e-mehboobi main kis se tujhe dekhoon
Jis ne tujhe dekha hai wo deeda-e-hairaan hai

Sau baar tera daaman haathon mein mere aaya
Jab aankh khuli, dekha, apana hi girebaan hai

Ik shorish be-haasil, ik aatish be-pardaa
Aafat kada-e-dil mein ab kufr hai na imaan hai

Dhoka hai ye nazron ka, ye bazeecha hai lazzat ka
Jo guncha qafas mein tha, wo asal ghulistaan hai

Ik guncha-e-afsurda,ye dil ki haqeeqat thi
Ye mauj zani khoon ki, rangeeni-e-paikaan hai

Ye husn ki maujein hain ya josh-e-tamanna hai
Us shokh ke honthon par ek barq si larzaan hai

'Asghar' se miley lekin 'Asghar' ko naheen dekha
Ashaar mein sunte hain kuch-kuch wo numayaan hai

~ Janab ‘Asghar’ Gondvi Sahab

Mohabbat karne wale gham se ghabraaya nahin kerte !!!!


M’aaz-Allah tasawwur mein bhi wo aaya nahin karte 
Dil-e-mahzoon ko sham-e-gham bhi samjhaaya nahin karte
Guzishta waardat-e-ishq duhraaya nahin kerte 
Shikaayat kya labon tak aah bhi laaya nahin karte 
Mohabbat karne wale gham se ghabraaya nahin kerte.....

Ye behr-e-kaif-o-masti hai yahan be-wasta bahna
Ye duniya-e-muhabbat hai yahan ka hashr kya kahna
Ye hoshiyaron ki mahfil hai yahan kuch soch ker kahna
Ye bazm-e-saghar-o-meena hai waaiz hosh mein rehna 
Yahan be-kaif afsaanon ko dohraaya nahin karte.....

Jinhein gham ki fazaaein bakhsh dein irfaan-e-sermasti 
Jinhein unki adaaein bakhsh dein irfaan-e-sarmasti
Jinhein paiham jafaein bakhsh dein irfaan-e sar-masti
Jinhein unki nighahein bakhsh dein irfan-e sar-masti
Wo deewane fareb-e-hosh mein ayaa nahin kerte.....

Terey qadmon pe sar rakhna meri daireena fitrat hai
Yahi meri aqedat hai yahi meri mohabbat hai
Dil-e-dard-aashna ulfat mein ye takmeel-e-ulfat hai
Haram ho dair ho kuchh bhi ho lekin ye haqeeqat hai 
Khuloos-e-dil ke sajde raayegaan jaaya nahin kerte.....

Raah-e-ulfat mein hota hai taqaaza ab ye khilwat ka
Aur gumaan hone laga soorat pe apni, unki soorat ka 
Azeez-e-Waarsi ye sheir hai pukhta aqeedat ka 
‘Asad’ mauqa miley to kya miley arz-e-mohabbat ka
Hum un ko paa ke apne aap ko payaa nahin kerte.....

Saturday, 13 October 2012

Nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad - Krishan Bihari Noor Sahab


Nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad 
Wahi hai haal humaara jo ho gunaah ke baad

Main kaise aur kisi simt modta khud ko 
Kisi ki chaah na thi dil mein teri chaah ke baad

Zameer kaanp to jataa hai aap kuchh bhi kahein 
Wo ho gunaah se pahale ke ho gunaah ke baad

kati hui theen tanaabein tamaam rishton ki 
Chhupaata sar main kahaan tujhse rasm-o-raah ke baad

Gawaah chaah rahe the wo begunaahi ka 
Zubaan se kah na saka kuchh "Khuda-gawaah" ke baad 

Khutoot kar diye waapas, magar meri neendein
Inhein bhi chhor do ik raham ki nigaah ke baad 

~ Krishan Bihari Noor Sahab


Friday, 12 October 2012

Guru darshan Bhagwaan ka darshan !!!!



Guru darshan Bhagwaan ka darshan, Sift mein zaat samaai re
Guru bin gyaan naheen bhai saadho, Guru ne baat bataai re



Guru-Ishwar mein farq na jaano, Guru Ishwar ka ayen pahchaano
Guru soorat Bhagwaan ki soorat, Guru ne jaan karaai re


Har dam dhyaan guru mein rakhna, Sar ko rakhna charnon mein

Guru kirpa ka pee kar amrit, qalb ki hogi safaai re 


Guru ka jaap jape ja hardam, Raam jape phir jaap tera
Karta ja Guru ki sewa, Pooje tohe Khudaai re



happy diwali friends -top & best wishes in hindi aur urdu shayari

hi ??????? , meri shayari hindi shayari ka kahzana ?? ??? ?? ?? ?? ?? ??????? ?? ??????? ??? ???????? ?????? ???? ?? ?? ?????? ?? ?? ?? ????...