Saturday, 13 July 2013

Rehmat ka taqaaza - Anwar Sabri

'Anwar' mere kaam aai qayaamat mein nadaamat,
Rehmat ka taqaaza meraa har ashk-e-rawaan tha !!
~ 'Anwar' Sabri Sahab

Sunday, 30 June 2013

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa - Shamim Karhani


Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa,
Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa !

Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq,
Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa !

Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab ,
Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa !

Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye,
Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa !

Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar,
Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa !

Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten,
Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa !

Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein,
Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa !

Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi,
Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa !

Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo ‘Shamim’,
Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya !

~ ‘Shamim’ Karhani





Monday, 27 May 2013

Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi - ‘Arsh’ Malsiayani



Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi,
Apne Khuda ko hum ne pukaara kabhi kabhi;

Aasooda-e-Khaatir hi naheen matmah-e-wafa,
Gham bhi kiya hai hum ne gawaara kabhi kabhi;

Is intehaa-e-tark-e-muhabbat ke ba-wajood,
Hum ne liya hai naam tumhaara kabhi kabhi;

Tufaan ka khauf hai abhi shayad karishma-kaar,
Aata hai samne jo kinaara kabhi kabhi,

Tanhaa-ravi ne rak’khi humaare junoon ki laaj,
Go ahl-e-kaarwan ne pukaara kabhi kabhi;

Ab kya kahein dil-e-mutalavvin-mizaaj ko,
Aksar ye aap ka hai,humaara kabhi kabhi;

Paiham sitam se ishq ki taskeen ho na jaaye,
Aye dost iltifaat Khudaa-ra kabhi kabhi;

Fariyaad-e-gham se ‘arsh’ sambhalta hai dil magar,
Lete hain ahl-e-dil ye sahaara kabhi kabhi..!!!

~ ‘Arsh’ Malsiayani

--------------------------------------------------------------------------
Aasooda-e-Khaatir = Khushaali ke liye
matmah-e-wafa = Wafa ki chaahat
dil-e-mutalavvin-mizaaj = Wo dil jiska mizaj humesha badalta ho
Paiham = Humesha, lagataar
Iltifaat = Rahem










Sunday, 5 May 2013

Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi - ‘Asghar’ Gondavi


Hai dil-e-nakaam-e-aashiq mein tumhari yaad bhi,
Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi;

Dil ke mitne ka mujhe kuchh aur aisa gham nahin,
Haan magar itna, ke hai is mein tumhari yaad bhi;

Kis ko ye samjhaaiye nairang-e-kaar-e-aashiqui,
Tham gaye ashk-e-musalsal, ruk hai fariyaad bhi;

Seeney mein dard-e-muhabbat raaz ban kar rah gaya,
Ab wo haalat hai ke kar sakte nahin faryaad bhi;

Phaad daloonga gareeban, phor daloonga apna sar,
Hai mere aafatkade mein kais bhi farhaad bhi

Kuchh to ‘Asghar’ mujh mein hai, qaayam hai jis se zindagi,
Jaan bhi kahte hain is ko aur unki yaad bhi;

~ Hazrat ‘Asghar’ Gondavi

Monday, 29 April 2013

Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne - Hazrat Allama Ghulam Ahmed Gilimi Chishti R.A.

Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne,
Apna deewana banaaya merey jaana tu ne;

Jab se dekha hai tujhe, dil nahin kaabu mein mera,
Kafir-e-ishq bana kar liya imaan tu ne;

Khusha-naseeb ke nisbat ataa kiya tu ne,
Karam kiya, mujhe apna bana liya tu ne;

Hazaar baar yahi sochta hoon rah-rah kar,
Main kya tha aur mujhe kya bana diya tu ne;

Isi adaa pe teri mit gaye hain deewane,
Khata hui to khata ko chhupa liya tu ne;

Ye mera zarf, khata pe khata hui mujhe se,
Wo shaan teri, karam pe karam kiya tu ne;

Teri talash mein jab gum hua koi banda,
To us ko bandey se maula bana diya tu ne;

Terey ehsaan ka badla to nahin ho sakta,
Meri mushkil ko humesha kiya asaan tu ne..!!!

~ Hazrat Allama Ghulam Ahmed Gilimi Chishti R.A.

happy diwali friends -top & best wishes in hindi aur urdu shayari

hi ??????? , meri shayari hindi shayari ka kahzana ?? ??? ?? ?? ?? ?? ??????? ?? ??????? ??? ???????? ?????? ???? ?? ?? ?????? ?? ?? ?? ????...