Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota
Ya mera taaj gadayana banaaya hota
Apna deewana banaya mujhe hota tu ne
Kyun khirad mand banaaya, na banaaya hota
Khaksaari ke liye gar che banaaya tha mujhe
Kaash !!! sang-e-dar-e-janaana banaay hota
Nash’aa-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
Umr ka tang na paimaana banaaya hota
Dil-e-sad chaak banaaya, to balaa se, lekin
Zulf-e-mushkeen ka teri shaana banaaya hota
Soofiyon ke jo na tha laayaq-e-sohbat to mujhe
Qaabil-e-jalsa-e-rindaana banaay hota
Tha jalaana hi agar doori-e-saaqi se mujhe
To charaagh-e-dar-e-janaana banaaya hota
Roz maamoora-e-duniyaa mein kharaabi hai ‘Zafar’
Aisi basti se to weerana banaaya hota
~ Hazrat Bahadur Shah ‘Zafar’
No comments:
Post a Comment