Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the, Hum the, tere jalwon ke talabgaar humeen the ! Hai farq talabgaar-o-parastaar mein aye dost, Duniya thi talabgaar parastaar humeen the ! Is banda-navaazi ke tasadduq ke sar-e-mehshar, Goya teri rehmat ke sazaa-waar humeen the ! De de ke nigaahon ke tasawwur ka sahaara, Raton ko tere waaste bedaar humeen the ! Bazaar-e-azal yun to bahot garm tha lekin, Le de ke mohabbat ke khareedar humeen the ! Khatke hain tere saare gulistaan ki nazar mein, Sab apni jagah phool the khaar humeen the ! Haan aap ko dekha tha mohabbat se humeen ne, Jii saare zamaane ke gunahgaar humeen the ! Hai aaj wo soorat ke banaaye nahin banti, Kal naqsh-e-do-aalam ke kalamkaar humeen the ! Pachhtaaoge dekho humein begaana samajh kar, Maanoge kisi waqt ke gham-khwaar humeen the ! Arbaab-e-watan khush hain humein dil se bhulaa kar, Jaise nigah-o-dil pe bas ik baar humeen the ! ‘Ehsaan’ hai be-sood gila unki jafaa ka, Chaaha tha unhein hum ne, khatawaar humeen the ! ~ ‘Ehsaan’ Danish Sahab |
Thursday, 12 September 2013
Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the - Ehsan Danish
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
happy diwali friends -top & best wishes in hindi aur urdu shayari
hi ??????? , meri shayari hindi shayari ka kahzana ?? ??? ?? ?? ?? ?? ??????? ?? ??????? ??? ???????? ?????? ???? ?? ?? ?????? ?? ?? ?? ????...
-
HI ???????, ???? ????? -??????????? ?? ????? ??? ?? ??? ?? ?? ??? ??? ?????? ??,?? ??? ??? ?????? ???? ?? ?? ???? ?? ?? ???? ???? ??? ?? ??...
-
Kafir-e-ishq hoon main banda-e-islam nahin But parasti ke siwa aur mujhe kaam nahin Ishq mein poojta hoon qibla-o- kaaba apna Ek pal dil ko ...
-
Read the best collection of Sufi Poetry in Urdu and Punjabi. Sufi Shayari has been written in various languages, But Punjabi is the one of m...
No comments:
Post a Comment