Thursday, 12 September 2013

Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the - Ehsan Danish



Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the,
Hum the, tere jalwon ke talabgaar humeen the !

Hai farq talabgaar-o-parastaar mein aye dost,
Duniya thi talabgaar parastaar humeen the !

Is banda-navaazi ke tasadduq ke sar-e-mehshar,
Goya teri rehmat ke sazaa-waar humeen the !

De de ke nigaahon ke tasawwur ka sahaara,
Raton ko tere waaste bedaar humeen the !

Bazaar-e-azal yun to bahot garm tha lekin,
Le de ke mohabbat ke khareedar humeen the !

Khatke hain tere saare gulistaan ki nazar mein,
Sab apni jagah phool the khaar humeen the !

Haan aap ko dekha tha mohabbat se humeen ne,
Jii saare zamaane ke gunahgaar humeen the !

Hai aaj wo soorat ke banaaye nahin banti,
Kal naqsh-e-do-aalam ke kalamkaar humeen the !

Pachhtaaoge dekho humein begaana samajh kar,
Maanoge kisi waqt ke gham-khwaar humeen the !

Arbaab-e-watan khush hain humein dil se bhulaa kar,
Jaise nigah-o-dil pe bas ik baar humeen the !

‘Ehsaan’ hai be-sood gila unki jafaa ka,
Chaaha tha unhein hum ne, khatawaar humeen the !

~ ‘Ehsaan’ Danish Sahab

Saturday, 13 July 2013

Rehmat ka taqaaza - Anwar Sabri

'Anwar' mere kaam aai qayaamat mein nadaamat,
Rehmat ka taqaaza meraa har ashk-e-rawaan tha !!
~ 'Anwar' Sabri Sahab

Sunday, 30 June 2013

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa - Shamim Karhani


Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa,
Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa !

Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq,
Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa !

Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab ,
Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa !

Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye,
Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa !

Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar,
Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa !

Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten,
Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa !

Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein,
Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa !

Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi,
Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa !

Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo ‘Shamim’,
Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya !

~ ‘Shamim’ Karhani





happy diwali friends -top & best wishes in hindi aur urdu shayari

hi ??????? , meri shayari hindi shayari ka kahzana ?? ??? ?? ?? ?? ?? ??????? ?? ??????? ??? ???????? ?????? ???? ?? ?? ?????? ?? ?? ?? ????...