Best Poetry in Urdu, Best Urdu Shayari
???? ?? ??? ?? ?????? ?? ??? ?? ?? ???? ??? ?? ????? ??
Translation in Roman Urdu
"Aadat hi bana li hi tery shahr k logon ne"
Andaz badil lena, Aawaz badil lena
Dunya ki mohabbat min, Atwar badil lena
Mosam jo nayya aey, Raftaar badil lena
Aghyaar wohi rakhna, Ahbaab badil lena
Aawaaz agar do to, katra k nikal jana
Her ik se juda rehna, Her ik se khafa rehna
Jatay hoey raahi ko, manzil ka pata de ker
Rastey min rula dena, Rastey min rula dena
Also read: New Stunning Love Poetry in Urdu 2018
------??------
Translation in Roman Urdu
"Kuch door hamarey saath chalo"Kuch door hamarey sath chalo, hum dil ki kahani keh den gey
Jisay samjhy na tum aankhon se, wo baat zubani keh den gey
Pholoon ki tarah jab chahray per ik shokh tabassum bikhray ga
Dheeray se tumhary kanoo min, ik baat purani keh den gey
Iqrar-e-wafa tum kia jaano, izhaar-e-wafa tum kia jano
Hum zikr Karen ge ghairon ka aur apni kahani keh den ge
Also read: Best Ever Romantic Poetry in Urdu for Lovers
------??------
????? ?? ?? ?? ?? ?? ??? ??? ????
Translation in Roman Urdu
"Taskeen na ho jis se wo raaz badil dalo"Taskeen na ho jis se wo raaz badil dalo
Jo raaz na rakh paey, hum-raaz badil dalo
Tum ney bhi suni hogi barri aam kahawat hi
Anjaam ka ho khatra, aaghaz badil dalo
Pur-soz dilon ko jo muskaan na de paey
Sur hi na milay jis min, wo saaz badil dalo
Dushman k iradon ko hi zahir agar kerna
Tum khail wohi khailo, andaaz badil dalo
Aey Dost! Karo himmat kuch door sawera hi
Gar chahtey ho manzil, parwaz badil dalo
?? ?? ????? ?? ?? ??? ??? ??? ???? ??
Translation in Roman Urdu
"Dil ki chokhat pe, jo ik deep jala rakha hi"Dil ki chokhat pe, jo ik deep jala rakha hi
Tery laot anay ka imkaan saja rakha hi
Saans tak bhi nahi letey hin tujhy sochtey waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hi
Rooth jatey ho to kuch aur haseen lagtey ho
Hum ne ye soch k hi tum ko khafa rakha hi
Tum jisay rota hoa chorr gae thy ik din
Hum ne us sham ko seeney se laga rakha hi
Chain leney nahi deta ye kisi tor mujhey
Teri yadoon ne jo toofaan utha rakha hi
Jaaney waley ne kaha tha keh wo lotay ga zaroor
Ik issi aas pe darwaza khula rakha hi
Tery janey se jo ik dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon min basa rakha hi
Mujh ko kal sham se wo yaad bahot aaney laga
Dil ne muddat se jo ik shakhs bhula rakha hi
Aakhri baar jo aya tha mery naam Wasi!
Min ne us khat ko kalejey se laga rakha hi
No comments:
Post a Comment