Mother
Mother is a very sensitive, piteous, and pathetic relation on the earth. She always is very kind to her children and meets all the necessities of their life. But often, it has been observed that the children (when they are young) do not care for their parents (when they are old) which is too bad. Here are most inspirational poems about losing a mother as well as the father in Urdu and Roman Urdu for motivation and best advice. So respect your mother and give her your best as she is the best and the only gift from God.Roman Urdu Translation
Jab Tu paida hoa kitna majboor tha
Ye jahan teri sochon se bhi door tha
Haath paon tab tery apny na thy
Teri ankhon min dunya k sapny na thy
Tujh ko aata tha jo sirf rona tha
Doodh pee k tera ksam sona tha
Tujh ko chalna sikhaya tha maan ne teri
Tujh ko Dil min basaya tha maan ne teri
Maan k saaey min parwan charh-nay laga
Waqt k saath saath qad tera barh-nay laga
Dheery dheery tu karryal jawan ho gia
Tujh pe saara jahan meharban ho gia
Zor-e-bazoo pet u baat kerny laga
Khud hi sajny laga, khud hi sanwar-nay laga
Aik din aik haseena tujhy bha gai
Ban k dulhan wo pher tery ghar aa gai
Farz se apny tu door hony laga
Beej nafrat k khud hi tu bonay laga
Pher tu maan baap ko bhulany laga
Teer baaton k pher tu chalany laga
Baat baat pe tu un se larny laga
Qaida aik naya tu pher perrh-nay laga
Yaad ker tujh se maan ney kaha tha aik din
Ab hamara guzara nahi tery bin
Sun k ye baat tu taish min aa gia
Tera ghussa teri aqal ko kha gia
Josh min aa k tu ne ye maan se kaha
Min tha khamosh sub hi dekhta raha
Aaj kehta hon peecha mera chorr do
Jo rishta mera tum se hi wo torr do
Jao ja k kahin kaam dhanda karo
Log martay hin tum bhi kahin ja maro
Baith ker aahein wo bharty thy raat bhar
Un ki aahon ka tujh pe hoa na koi asar
Aik din baap tera chala gia rooth ker
Kesy bikhri thi teri maan toot ker
Pher wo bay bas ajal ko bulati rahi
Zindgi us ko har roz satati rahi
Aik din maot ko bhi taras aa gia
Us ka rona taqdeer ko bha gia
Ashk aankhon min thy wo rawana hoi
Maot ki aik hichki mahz bahana hoi
Aik sakoon us k chahray pe chanay laga
Pher tu mayyat ko us ki sajanay laga
Muddatein ho gain aaj borrha hi tu!
Jo parra tooti khatya pe koorra hi tu!
Tery bachy bhi ab tujh se dartay nahi
Nafraten hin baaqi, mohabbat wo karty nahi
Dard min tu pukary keh O Meri Maan!
Tery dam se roshan thy donoo jahan
Waqt chalta rahy waqt rukta nahi
Toot jata hi wo jo jhukta nahi
Ban k ibrat ka ab tu nishan reh gia
Dhoond ley zore tera kahan reh gia
Tu ahkaam-e-Rabbi ko bhulata raha
Apny maan baap ko satata raha
Kaat le wohi, tu ne boya tha jo
Tujh ko kesy mily, tu ne khoya tha jo
Yaad ker k gia daor pher roney laga
Kal jo tu ne kia wohi aaj honey laga
Maot maangey tujhy maot aati nahi
Maan ki soorat nigahon se jati nahi
Tu jo khansay to Aolaad daantay tujhy
Tu hi na-soor such kon baantay tujhy
Maot to aaey gi tujhy magar waqt per
Ban hi jai gi teri qabr magar waqt per
Qadar maan baat ki gar koi jaan le
Apni Jannat ko dunya min hi pehchan le
Aur leta rahy wo barron ki dua
Us ke donoo jahan, us ka haami khuda
Yaad rakhna tu Saaghir ki is baat ko
Bhool jana na rahmat ki barsaat ko
No comments:
Post a Comment